We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

School Bag

by Rudraksh ASV

/
1.
Yeah Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Haan Haan Lagta hai mujhko jaise kismat ka maara nahi main Yeh jo bhi paas, sabkuch khaas, kabhi haara nahi main Agar jeeta nahi, tabh bhi chahat ko maara nahi main Choti si khushiyon se, jeevan lagta pyaara, sahi hai Yeh bhi accha hai ki, paas mere apne saare Yeh bhi accha hai ki, hum khud ki khawahish bo paa rahe Yeh bhi tassalli hai ki, sang mein milte hai sahare Nahi koi jaldi hai, toota hun, par hum na bechare Bachpan bhi theek tha, aur abhi bhi koi galat nahi hai Hum bhi sab mein hai ek, khushi ki hum koi alag nahi hai Khareeda hai khilona, khela nahi jazbaato se Kabhi - Kabhi girta hun, chidta hun main kayi baato se Tabh bhi ummeed hai ki, kal ka din aur accha hoga Jo bhi sapne bunta main, ek din wo bhi sach sa hoga Hum bhi tootenge kayi baar, jodne ko sang koyi hoga Yeh toh kismat hai, chalte rahegi, jeevan ki nauka Dil mein ek kona hai, jisme khushiyon ko rakhta hun main Kabhi - kabhi rota hun, kabhi - kabhi thakta hun main Kabhi - kabhi khatm hone ki chah bhi ki, par kar paaya na Rakhta pura vishwas, wo alag baat ki badh paaya na Haan Wo alag baat Ki badh paaya na Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Mere jeevan ke, yeh pal anmol hai Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Choti choti khushiyaan Yeh rishte hi, mere taakat ki dor hai Choti choti khushiyaan Haan Choti choti Khushiyaan Choti choti khushiyaan
2.
Class Duster 04:03
Haan Haan Badhi thhi Badhi thi aashaiyen khoob(haan), jab bhi wo gaya school(haan) Usse toh thi zaroorat, par sabhi kehte thhe fool (fool) Kisi ne samjh na usko, kisi ne bola na kuch (kuch) Haatho pe duster padte, aise hi jaata wo toot (toot) Pucha na koi galat kya, hua jo aisa hi ho raha (ho raha) Khwaab mein kaalepan thhe, jab bhi sisak ke so raha (so raha) Jo dard mil raha usko, na chah ke bhi wo dho raha (dho raha) Vo kehta na kisi se, par toota sa wo thoda (thoda) Sabhi hai kehte usse, banake rakh tu aura (aura) Jo pichhli seat pe tha, nahi tha chance hope ka (no) Bada hi easy hota, kehna kisi ko ghodha (haan) Daba ke log kehte, nahi tera kuch hoga (bilkul) Tabh bhi wo ladh raha, ab ho chuka wo theet hai Baatein lagti maamuli, jo padti jaise eent hai Mukar rahe hai log bhi, bas keh rahe ilzaam bhar Unme hai khud vishaad, jo todte wo haarkar (haan) Aajkal, zindgi mein uske hai khalal Aajkal, wo kosta hai aas pal Aajkal, wo toot ke bikhar chuka Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal Aajkal (yeah), zindgi mein uske hai khalal Aajkal (yeah), wo kosta hai aas pal (haan) Aajkal, wo toot ke bikhar chuka Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal Aajkal (Bikhar chuka) (Kosta bas kosta) (Haan) Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai Usse naa koi bhi aas, aisa ki wo bol de Pucchta sawal toh, aukaat dete tol yeh Kabhi na kaha usse, ki tera bhi koi mol hai Yahan toh insaan wo, jo udd raha makhaul mein (makhaul mein) Khudi ko kosta, jab baithta padhai pe (haan) Saari jo bhavna thi, wo marz bin dawai ke Aisa hi karta na, wo kaamna tabhai ke Vo bhi toh jee sakta tha, bas hausla afzai se (par kyun) Kisi ne naa na bola, wo bhi toh dab ke reh gaya (reh gaya) Aasuo mein gumm hua, bhaavo mein wo beh gaya (mujhe ladna hai) Pehle jeeta tha sapne, ab sapna wo toh deh gaya Ab putla sa wo ho gaya, alfaaz karta na bayaan (na, na) Kabhi na sochte hum, ki kya kaha tha aise hi samaj aise jo kahe, ussi ki karte peshki (yaa) Lekin nahi uthaya tha, raakh mein jo ab dabi (kyun) Makhaul ki zaroorato mein, aadmi ki zindagi, aajkal Haan Kosta bas kosta (Yeh zindgi hai zindagi) Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal Aajkal, zindgi mein uske hai khalal Aajkal, wo kosta hai aas pal Aajkal, wo toot ke bikhar chuka Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal Aajkal (Kyun) (Kyun) (Aakhir kyun) Bikhar chuka Jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal
3.
Lunchbox 01:42
4.
Meri Pyaari Notebook Meri Pyaari Notebook Haan Haan Hardam rakhta hu na aashayen kisi se Mann ke andar panapte rehte tareeke Lagte thhe ham bhi inko nirbal har dafa Jubaan pe khaalipan, toote dil, sau tukde Rakhta ummeed na, na banna hai umeed Andar ka khaalipann, hai dardo ke sameep Mujhko parwaah na thhi, parwano sa main bhi Khoya sa afsana, ban chuka hu abhi Mere saath jo bhi tha, sabse pyaar kiya Kaha nahi kisi se, na ikraar kia Jo bhi dikkaten mili, sabko paar kiya Jo bhi badha yeh ufaan toh, panno pe utaar dia Maine nahi bola, kisi se bhi aarzoo Apne par hai vishwas, thoda sa rakhta guroor Aadat bani jo meri, lagti hai jaise fitoor Sapno ki basti mein, anjaana sa bhatakta hun Wo kal mera aaj, sab karz bann gaye Kuch pal malham se, kuch marz ban gaye Mere bhavana ko karno ne ghaav jo dia Wo sabd banke foote, maine arz kar diye Aise darz kar diye, maine maamle jo khaas hai Kuch yaaden toh naveen, kuch toh bakwaas hai Lekin jo bhi likha, wo sabhi aihsaas hai Kuch pal mita du, aise hi toh yaadaast se Koi na mila toh panno se karta bayaan Iska yeh matlab nahi, mujhko akele rehna Jo bhi kaha tha milega, wo bhi mila iss saal na Meri pyaari notebook, mere baato ko sambhalna Meri pyaari notebook, mere baato ko sambhalna Meri pyaari notebook, mere baato ko sambhalna Meri pyaari notebook, mere baato ko sambhalna Meri pyaari notebook, mere baato ko sambhalna Meri pyaari notebook Meri pyaari notebook
5.
School Bag 03:14
Yeah Yeah Haan Yeah Yeah Let's go Mere hi naam ko, mila hai pehchaan jo Copy ke peeche ke panne pe likhe huye hai kaand sau Mere jo bhai log, mere jo khaas ho Unhe andaza nahi tha, kya milega aaj ko Sab rahe muskura, naya sa din hua Kisi ko pata nahi tha ki kal ka kya hoga Kiya tha vaada par, vo aadha hi raha Samay ke gaadiyon mein baithe, sab ho gaye juda Kisi ko na pata, sabhi hai laapata Utthi jo baato mein baatein, toh pucha ki kahan vo yaar Mere ko na milen, milen na ab pukaar Khaali badha chala safar mein, kyun chodha sab khumaar Mujhe nahi hai koi zaroorat, tabh bhi kal vo itne paas hai Unn kal ki chahaton se, bhaagne ko hum hatash hai Sabhi ka toh pata nahi, par hum toh yun udaas hai Aankhon mein toh nami hai, par hum na aate baaz Chhuta vo school bag, badha hai bojh ab aseem Chhuta vo school bag, khud se ladh raha abhi Chhuti vo aadatein, jo ki aam thhe kabhi Main chal raha hoon kal mein, ab bojh leke kayi Chhuta vo school bag, par sapne toh wahi Chhuta vo school bag, copy mein gadi hai neev Chhuti vo dosti, par milenge phir kabhi Main chal raha hoon kal mein, ab bojh leke kayi Chhuta vo school bag Haan Chhuta vo School bag Karen na koi bhi aas, bana hoon ek awaaz Saare ke saare kyun galat, jo hote hum udaas Kahe na koi bhi saath, sabhi mein badhti aag Main badha chala safar mein, yahi toh hai riwaaz Milen sawaal ka, nahi koi jawaab Hum lage pade, nahi chalega, kaisa hai yeh dabaav Mujhe bhi koi uthao, puraane din ko lao Lagan mein lage lage, samajh ko rakhte ab yeh daav Saare hi kapti ho gaye, inka kapat hatao Jo bhi bhule hai mujhko yaar, aa jao, wapas aao Kyun hota din farebi, kyun apne dete ghaav Pehle kabhi toh aisa na hota, badle se swabhaav Yahi toh reet duniya ka hai, jo beetta vo beetta Badhe chalen hai aage, bukhaar ab toh jeet ka Yeh kismato ka khel hai, aur manzile sameep na Tabh bhi rakhen muradein, antar mein jaga kaash...... Chhuta vo school bag, badha hai bojh ab aseem Chhuta vo school bag, khud se ladh raha abhi Chhuti vo aadatein, jo ki aam thhe kabhi Main chal raha hoon kal mein, ab bojh leke kayi Chhuta vo school bag, par sapne toh wahi Chhuta vo school bag, copy mein gadi hai neev Chhuti vo dosti, par milenge phir kabhi Main chal raha hoon kal mein, ab bojh leke kayi Chhuta vo school bag Haan Chhuta vo School bag Haan haan School bag Yeah

about

THIS ALBUM IS ALL ABOUT SCHOOL LIFE AND MEMORIES .

credits

released October 20, 2021

Artist/Lyrics/Music/Mix/Master - Rudraksh ASV
Cover Art - Kavita Sahani

license

all rights reserved

tags

about

Rudraksh ASV India

If you are trying to make the way then all the best.....

contact / help

Contact Rudraksh ASV

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Rudraksh ASV, you may also like: