We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Faasle

by Rudraksh ASV

/
1.
Faasle 03:42
(Intro) Yeah, Yeah Haan, Haan (Chorus) Kareeb aate par (Kareeb aate par) nahi saath mein (Nahi Saath mein) Kyoin itne faasle? (Kyoin itne faasle?) Kyoin itne faasle? (Kyoin itne faasle?) (Verse 1) Jab bhi rahi mujhe teri zaroorat Dur rahe mujhse hi tu bas Kast badhe dekhe na mudkar Aise karte kyun tum bebas Sehkar bhi na poori zaroorat Karz lage fakeer sa hoon par Harz nahi karta tujhse din Aasma kya milega chookar Kyoin apne bhi jaate mukkar Duniya bhi maare thokar Do pal main gham mein rahoon Phir seech doon panne lafz ko bokar Kabhi lagta sapne farebi Bas behlate hai yeh toh do pal Lekin na kala kaam aati Jab bhooka rahe na ho ghar Kyoin kar raha , jab na kuch milen Kyoin kar raha , trasidi badhe Kyoin kar rahe , jab yoon faasle Wajah hai ek , karoon poori khwaishien Kyoin nafa na kadra se Dafnata yadoon ke silsile Ho sakta shayad galat main Hum bhi nikle ek manchale Aise jabtak har sitam chale Tabtak yeh meri kalam chale Aankhen thodi nam ho jo Baath loon khusiyaan , bidh loon jo mushkilen Kaise sawar doon jeevan Kismat hi jab saath na ho Kaise udhaar loon sabse Jab khaali khud ke jeb ho Bharega iska pata nahi Koshish ki dard daba nahi Waqt gati mein badhe chala Jeevan meri vaise hi reh gayi Kab aayegi din ki roshini Kab aayegi din ki roshini Khamoshi bhi ab kosti Kab aayegi din ki roshini Kab aayegi din ki roshini Kab aayegi din ki roshini Khamoshi bhi ab kosti Kab aayegi din ko roshini Kab aayegi (Chorus) Kareeb aate par (Kareeb aate par) nahi saath mein (Nahi Saath mein) Kyoin itne faasle?(Kyoin itne faasle?) Kyoin itne faasle?(Kyoin itne faasle?) Dukhta hai dil mera (Dukhta hai dil mera) Tere hi saaz mein (Tere hi saaz mein) Kyoin itne faasle?(Kyoin itne faasle?) Kyoin itne faasle?(Kyoin itne faasle?) (Verse 2) Chal chal aage tu badh nikal Khushnuma asar hoga waqt par Hosh rehegi dega tu dakhal Kismat chamkega yakeen kar Issi kwaab ke saath badh raha Jo yakeen wo mera sastra sa Kashmakash ke bas mein na kas raha Uljhan se na mann badal raha Jo safal raha yaad Karen duniya bhi usse apna samjh ke Jo rukhta gham mein kho gaya, sakht lage duniya hardam yeh Mann thamthe, badhte sitam yeh Jamte aashoon na wo jhalke Rooh roye bilakh-bilakh par aadhambar se sab lage halke Chhalke yeh ooch - neech , sab mann ka keech , jo badal na sakta Hum bas khud ka kar sakte, zamana khud mein hi ghum sa Par main vishwas mein, hardam naqaab ke saath mein rehta Pehnu jab niklu zamane mein koi baat na rehta Aaj main bas ek hoon tukda, khoya sa jo paas na rehta Kal jab mera mol hoga, hod lagegi kaash yeh milta Kaise izzat paaun , jab laash ko izzat laaj na milta Laaj bikhe ab paiso mein, naraaz janta kuch khaas na milta Kuch gadhte paimane, afsane aur avkash ek din ka Mujhe bhoolo manzoor, mere lafz bhool mujhe maar na dena (Outro) mere lafz bhool mujhe maar na dena mere lafz bhool mujhe maar na dena mere lafz bhool mujhe maar na dena mere lafz bhool mujhe maar na dena mere lafz bhool mujhe maar na dena
2.
Laapata 03:12
Haan (Verse 1) Meri saansein gawah si meri, aur zindgi bhi udaasi de rhi Meri har wajah gunah si lagti, sang yeh zakhm sabaasi de rhi Main kar rha jo kaam na, aur kal se karta se kaamna Mere har pal mujhko kachotey aise, khud se kar rha saamna Main kwaab na bunta kal ke, bad rehta hoon pareshaan sa, mayush hoon par jata doon kaise, Raah bhi toh asaan na Hoon jaanta ki kadra karen na, insaan bhi insaan ka Bhagwan bhi insaan bane, insaan bana anjaan sa Kyoin maan na milta sach ko, aur jhoot se judti bhavana Sabke mooh pe taale lage, jab ghut jaata imaan haan Main samjhu na khud ko alag, par seh na paaun laalsa Har din jeeta kal ki aasa mein, pal bhi lagta saal sa (Chorus) Main laapata Main raag naveen hoon raakh ka Main laapata Main laapata Khusiyaan haseen jo paas na Main laapata (Verse 2) Mere jitne dard hai saare, sabko ho ilaaj na Dastak bhi samay de rha, neeyati se hai haadsa Jo bhi mila usme khush hoon, par bujti dil ki pyaas na Main khaas ki , aas ki , saaj kahun, aitraaz karen awaam yahan Mann chanchal bhatke raahon pe, gunaaho se karen raabta Main baath loon khusiyaan saari, jo bhi rehta ho paas haan Naraaz rahoon dujo ko dekh, kismat bhi ban jati seekh Main aage badhoon maangu na bheek, hisse ka le ,chahe milen anek Hum kal ki khwaish karen, par saajish na karte hai hum Dujo ko bhi socha karte, loote na kisi ka rakam Kuch log hote aise hai , bin mulyo ke besharam Hum unme se na aate hai, haq ki maange , vishwas karam (Chorus) Main laapata Main raag naveen hoon raakh ka Main laapata Main laapata Khusiyaan haseen jo paas na Main laapata (Verse 3) Fursat se na ho barkat, karm khel apna hai jamghat Hum karzdaar bhoole saari hasrat, mila jo haq ka usse kehte kismat Hum rehmat ki maane bas harkat, bhagwan basen insaa kankar Jo bhi dukhi sabse kahoon bas, yeh kashmakash rahen na har waqt Main laapata aas bankar, hoon kya pata vishwas bankar Tujhme rahunga main saas bankar, ek pal haseen kuch khaas banakar Kuch na badlega laash bankar, kuch bhi na hoga udaas rehkar Jo bhi hoga ladunga sehkar, kaagaz ki naav ka lamba yeh safar (Outro Chorus) Main laapata Main raag naveen hoon raakh ka Main laapata

about

SONGS ABOUT LIFE HUSTLE AND EXPERIENCES.....

credits

released November 23, 2020

ARTIST-RUDRAKSH ASV
LYRICS-RUDRAKSH ASV
PROD.-ANKIT MAURYA
MIX & MASTER- RUDRAKSH ASV &ANKIT MAURYA

license

all rights reserved

tags

about

Rudraksh ASV India

If you are trying to make the way then all the best.....

contact / help

Contact Rudraksh ASV

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Rudraksh ASV, you may also like: