We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

KISMAT

by Rudraksh ASV

/

about

TRACK ABOUT SOCIETY AND PERSPECTIVES....

lyrics

Taakat se barkat hoti, harkat ko tode yeh kismat
Jamghat pe khada gareeb sa, issh karega kya wo rehmat
Sehmat main khud se hua, dukh ka hua, main parchaayi sa
Jab bhi sapna jeena hi ban jaye, toh sapna wo kay ka
Paiir mein chaale pade, dard samjh na sakte hum toh
Hum toh ghar mein baithe, dukh ki baate, karte bas yoon
Bebas kyoin sab yahaan, iss baat se koi farak nahi,
Marna bhi jeena lagta, jeena lagta, ab toh narak hi
Faili mahamaari , do roti ko sisakti bacchi
Maa bhi toh bhukhi, par bhukh mita kar khud wo marti
Dharti pe sabkuch, ab kuch, mashgul sa hum toh bemool
Mol ki baat gadhe, aankh band kar paate hum sukh

Kismat pe chodh de sabkuch, aise insaan ban gaye
Mahaan samman ke khatir andhekhi se dayawan ban gaye
Kismat pe chodh de sabkuch, aise insaan ban gaye
Mahaan samman ke khatir andhekhi mein dayawan ban gaye

Chaar din khaana na mila, tabh bhi aasha hai kayam
Moh ki kya aas karen, sahas mein koi khojhe raah bas
Manzil door, dil bhi bebas, kismat pe na hai sehmat
Duniya apne fitoor mein kehti khud ka dard tu keh mat

Zehmat na koi uthaiyegaa , matlab hi matlab chhaaiyega
Pachtana wakt bhi zakhm dekar, tujhko bada rulaiyega
Marte hai jab kayi jan ab, mann mein peeda na ho ab
Aankhen hum moodh chalen, boodh bahake karte barkat

Hasrat ban chuka hai nafrat, nafa khud ka toh sehmat
Mehnat kehne ki mehnat, minnat ki bas hoti killat
Jeevan mein bas ab zilllat, fikr nahi jaise karkat
Bhar kar aankhen, sab sehkar, zinda insaan ki na izzat
Kabtak aakhir yeh kabtak, sochenge khud ka kabtak
Dard ko samjh na saken, jo pate uske alag harkat
Insaan kehte hai ab hum, dharam par laden besharam
Karam ka fal milen, rehem ki maang deti hai zakham.

Kismat pe chodh de sabkuch, aise insaan ban gaye
Mahaan samman ke khatir andhekhi se dayawan ban gaye
Kismat pe chodh de sabkuch, aise insaan ban gaye
Mahaan samman ke khatir andhekhi mein dayawan ban gaye.

credits

released September 5, 2020
PRODUCER- MASSBENDER

license

all rights reserved

tags

about

Rudraksh ASV India

If you are trying to make the way then all the best.....

contact / help

Contact Rudraksh ASV

Streaming and
Download help

Report this track or account

If you like Rudraksh ASV, you may also like: