We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Kaagaz Ki Naav

by Rudraksh ASV

/
1.
Mujhe na, haarne se darr nahi lagta Darr toh iss baat ka lagta hai ki Agar main haar gya, Toh kya mujhe apne kabiliyat sabit karne ka dusra mauka milega Yaa phir main bhi Andhkaar ke jaal mein fasa, ek parinda sa hi reh jaunga Mujhe iss baat se darr lagta hai Haan Haan Haan Haan
2.
HAAN YEAH EK KAHANI USS BANDE KI , JO SUNKAR NA KARTA HAI ANDHEKHI (ANDEKHI) DIL MEIN ARMA LIYE WO FIRTA HAI, PAR KABHI BOLE NA WO KISI SE BHI (KISI SE BHI) USSE TOH PATA NAHI, KAISA YEH KHUMAAR HAI SAPNO SE PEHLE YAHAAN ZAMANE KI DEEWAR HAIN (DEEWAR HAIN) UTTEHGA AADMI TOH KEHER KI BHARMAAR HAIN KYUNKI SUNNE KI SHAKTI, KHO CHUKE HAZAAR HAIN (BOHT SAARE) YEHI SAB SOCH KAR, KAR RAHA KAAM ALAG ZAMANA THEET HUA, USME BHI DIKHTI JHALAK (BILKUL) VAISE TOH DUNIYA MEIN LE RAHA WO BHI SABAK KOSHISH KARTA NAHI, ITNA HI RAKHTA SAMAJH CHOTI SI ZINDAGI KA, BHOOL GAYA SAAR WO KHONE KE DARR MEIN, PAATA REHTA HAAR WO KHUD KO DIN BHAR MEIN KOSEN SAU BAAR JO ISSE ACCHA HOTA UTTHA EK BAAR TOH YEHI TOH ZINDGI HAI, YEHI TOH FARAK YAHAAN YAHIN PE SWARG BHI HAI, YAHIN PE NARAK BANA KHOYA JO KHUD KO HI, TOH SAHEN, DARD KYUN, HAAN HUA KARNAMA, KHOYA HAI KAAGAZ KI NAAV YEHI TOH ZINDGI HAI, YEHI TOH FARAK YAHAAN (FARAK) YAHIN PE SWARG BHI HAI, YAHIN PE NARAK BANA (NARAK) KHOYA JO KHUD KO HI, TOH SAHEN, DARD KYUN, HAAN (DARD) HUA KARNAMA, KHOYA HAI KAAGAZ KI NAAV KHOYA HAI KAAGAZ KI NAAV HAAN KHOYA HAI KAAGAZ KI NAAV
3.
Misaal 02:10
KAHA NAHI KABHI JO HO RAHA THA SANG MERE BHAHA CHALI BHAWAR, MAIN KHO RAHA THA JASHN MEIN DUA MILI MUJHE, PAR TARJ MERE ASHK THHE MUJHE YEH MAANTE NA, TULNA KARTE ASTH SE KAHA NAHI KABHI KI SAATH TERE AB HOON MAIN VO JHOOTH HOTA BHI TOH, LETA USKO SACH HI MAIN MAIN HI WO BADNASEEB, DOOBA GIR KE KASTI SE NAHI AUKAAT KOYI, KYA KAHOON KYA HASTI MAIN PEHLE TOH MANN SE KI, AB KAROON JABARDASTI MAIN MAIN HI WO NAAMURAAD, JISKO KOSEN BASTI MEIN KAHEN YEH ROJ MUJHKO, KAAM KARTA MASTI MEIN RAKHUN MAIN KAAMNA, JABTAK NA BANTA ASTHI MAIN MUJHE TOH KHUD SE CHID HAI, THODA SA NARAAZ HOON KARI KYA GALTI MAINE, SAPNE KYA YEH FAALTU RAKHUN UMMEED AUR SANG MEIN RAKHTA SHAAN KO KARAM KO APNA MAANU, JAISE YEH IMAAN HO LAGAYE AANKH MAIN, CHAL RAHA SAFAR PE AB TOOTE DIL KE TUKDE, JEE RAHA SABAR PE AB MERE YEH BHAAV BHI, GEET KEHTE AB ALAG DEKHUN WO AASMA, JO DETA JEET KI JHALAK KAHO NA KUCH TOH TUM, KYUN HUYE NARAAZ HO MUJHE KYUN KOSTE, NA PAANA CHAHTE PAAS KYUN KHAAI MEIN LATKA, PAR KHICHTE NA HAATH KO KYA MAIN KOYI NEECH HOON, NA HOON TOH MUJHKO MAAN DO KAREN YEH PEETH PEECHE, MERE AISE BAAT SAU KAHUNGA INKO KYA, HOON MAIN AISA KAAMCHOR FARQ BAS ITNA HAI, INKO SAMJHUN MAIN SAHI ASAL MEIN MAANTE THHE, YEH MUJHE ANJAAN LOG BAHA LE ASHRU THODA, PAR MILEGA MUJHKO KYA MAIN ZINDA HOON YAA NA, FARAK PADEGA TUJHKO KYA JO BHI HAI SAATH MEIN, MAIN IZZAT KARTA UNKA,HAAN SAFAL BANUN YAA NA, BANUNGA KHUD KA HI MISAAL BAHA LE ASHRU THODA, PAR MILEGA MUJHKO KYA MAIN ZINDA HOON YAA NA, FARAK PADEGA TUJHKO KYA JO BHI HAI SAATH MEIN, MAIN IZZAT KARTA UNKA,HAAN SAFAL BANUN YAA NA, BANUNGA KHUD KA HI MISAAL HAAN HAAN BANUNGA KHUD KA HI MISAAL
4.
Teri Yaadein 02:05
Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Bhool Na Paate (Hoti Ilteza) Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Mujhe Tadpaate (Hoti Ilteza) Milan Ko Meri Hoti Ilteza Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Bhool Na Paate Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Mujhe Tadpaate Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Bhool Na Paate Usse Mila Tha Main Jab Mujhko Kuch Alag Sa Laga Vaisa Kabhi Hua Nahi Tha Chahat Nasamajh Sa Laga Kuch Bhi Ho Apne Darmiyaan Usko Main Bhoola Na Saka Jo Bhi Unn Aankhon mein Tha Usko Main Jata Na Saka Sapno Mein Aajkal Main Toh Usko Hi Paas Paata Hoon Samjho Vo Nasamjhi Thi Lekin Kuch Aas Pata Hoon Samay Jo Beetta Gaya Chehre Wo Dhundhale Ho Gaye Unki Parchaai Bhi Ab Na Jaane Kahan Kho Gaye Lekin Mehsoos Jo Kiya Abhi Bhi Vo Zinda Hai Mujhko Mulakat Ki Khwahish Kash Wapas Mil Jaya Usko Iss Baar Sahi Mein Keh Dunga Dil Ki Marziyaan Kabtak Yun Duur Rahenge Milan Ko Meri Hoti Ilteza Haan Milan Ko Meri Hoti Ilteza Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Bhool Na Paate (Hoti Ilteza) Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Mujhe Tadpaate (Hoti Ilteza) Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Bhool Na Paate (Hoti Ilteza) Teri Yaadein, Teri Yaadein Teri Yaadein Mujhe Tadpaate (Hoti Ilteza) Milan Ko Meri Hoti Ilteza
5.
Panchi 01:36
Yeah Yeah Uttha kalam leke , baato mein main dum leke Likhi hai dastaan , zamane ke gumm seh ke Kiya hai kaam apna , maine toh sitam seh ke Raatein bitai maine , khud se kasam leke Mujhe zaroorat achhe logo ki , saath mein jo Mujhe hai pyaar unn apno se , paas mein jo Leta hoon shauk bhi , wahi jo aukaat mein ho Leta na cheen ke , chahe sapne taak pe ho Mujhe hai khud pe naaz , rakhun main maan se moh Hota thoda jazbaati , par na karta main shor Usi ko khushi maanu , jo ki mere haath mein ho Usi ko sahi maanu , jo ki apne imaan mein ho Yehi toh dastaan , manzil ka raasta Uthake bojh bhi , insaan na haafta Laden wo khoob yun , khoobiyon se aam sa Manzil hai niyati , sakshiyat se raabta Paise na chaapta , na chaapta gumaan hai Dua mein saadgi , koyi na bakhaan hai Iraade nek hai , bada na makaan hai Aaadar ki sochta , zamane se anjaan hai Aisa wo panchi , pyaari usse udaan hai Aisa wo panchi , udega aasmaan mein Aisa wo panchi , rahega na wo aan mein Aisa wo panchi , azaadi ki zubaan hai Aisa wo panchi , pyaari usse udaan hai Aisa wo panchi , udega aasmaan mein Aisa wo panchi , rahega na wo aan mein Aisa wo panchi , azaadi ki zubaan hai
6.
Patang 02:31
Haan Patang si zindagi yeh Yeah Yeah Patang si zindagi Patang si zindagi Haan Haan Suruvaat Samajh se dhool hote , samajh se fuul hote Samajh se nasamajh main , asool bhool khote Dua kabool hote , yuhin masgul hote Janab trasidi mein , kyun badalte mool khoke Yehi toh maan tha , yehi toh aan tha Hua yeh ek parat sa , kahe sammaan tha Paaya jo badsuluki , jubaan pe daam tha Gawah bhi bikte ab toh , daba imaandaar Sikhaya barkate bhi , sikhaya baat chaar Dikhayi roshini bhi , dikhaya andhkaar Sunaya khamoshi bhi , sunaya ahankaar Batai aadatein bhi , jo ki badhata bhaar Kahani khokhli si , nahi samvedna Yahan toh mushkil hi hai , samajh ko dekhna Tabah si zindgi se , kisi ko khed na Dabatey bhavna ko , pasand hai raingna Kaho nahi misaal , yahan bura hai haal Koi hai badmizaaz , koi karen sawaal Jubaan buland sabki , dua ko beete saal Jua si harkato se , huye hai sab bimaar Yahin toh main bhi hun , thoda hataash main Sukhi si aankhen bhi toh , aansu talashte Khojun kyun wo ghadi main , khushi ke aas mein Milega wo jahan kya, jo ki na paas mein Milega wo jahan kya, jo ki na paas mein Milega wo jahan kya, jo ki na paas mein Jo ki na paas mein Jo ki na paas mein Jo ki na paas mein Jo ki na paas mein Haan Haan Ghutan si saans mein , raakh se raaz mein Kal ki chahaton mein , yeh khote aaj hai Daba ke maamle , bane pishaach se Patang si zindgi yeh , udi aakash mein Ghutan si saans mein , raakh se raaz mein Kal ki chahaton mein , yeh khote aaj hai Daba ke maamle , bane pishaach se Patang si zindgi yeh , udi aakash mein Ghutan si saans mein Raakh se raaz mein Patang si zindgi yeh , udi aakash mein Patang si zindgi yeh Haan Haan
7.
BACHPAN KE DIN BHI KYA DIN THHE KUCH BHI NA JAANKAR TABH BHI KHUSHI MEIN THHE WO SAMAY WAPAS CHAHIYE YAAR AUR WAPAS CHAHIYE WO YAARANA JO KI KAHIN KHO GAYA HAI USSI NE KI THI BAATE, PUCCHA THA KYA HAI NAAM MERA MAIN BHI THA THODA DARR MEIN, SAATH MEIN PARESHAAN BHI THA HUA NAHI THA KOI, JISSE SAARA GUMM KAHUN SOCH KE AAPDA KO, AANKHEN KHUD KE NAMM KARUN WO AAYA BANKE RAAZ SA AUR RAASTA WOH BANN GAYA MAINE NAHI THA JAANA, KI KAISA YEH ASAR HUA PEHLE KHUD HI MEIN THA RAHA, KOI NAHI MERE PAAS MEIN AB SAATH MERE WO THA, JAISE KHUSHIYON KA HO AASMAA WO KHUD RAHA THA DUKH MEIN, JISKA USSE PATA NAHI WO KEH RAHA THA SABSE, KHUSHI KE GAANE AISE HI NAHI THA KOI DIKHAVA, PAR AAS KAISI YEH JAGI WO BACHPANO KA DIN THA, HUMNE SIKHA THA NAHI THAGI WO PEHLA DOST THA, JISSE NAHI AB JAANTA WO PEHLE DOST THA, JO AADMI HAI SHAANDAAR WO PEHLA DOST THA, JISSE PALAK YEH THAMTE WO PEHLA DOST THA, YEH GAANA USKE NAAM HAI WO PEHLA DOST THA WO PEHLA DOST THA WO PEHLA DOST THA WO PEHLA DOST THA MUJHE TOH ABHI BHI YAAD KAISE BEETE MERE KAL MANZILE NA KOI, PAAS MEIN NA THA KOI HAL NAHI THA SAATH BOJH BHI, KI HONA HAI HUMEIN SAFAL JIYA WO ZINDGI, WO ZINDGANI THI ASAL SAMBHAL KE CHAL RAHA MAIN, BADAL RAHA THA WAQT SE PATA CHALA UMMIDEN, JO LAGTE MUJHKO SAKT THHE HUM THHE TOH SAPNE BOTE, LAGBHAG WO HOTE NA POORE PAR JAAN KAR YEH AAJ KYUN, AAS WAHIN SE JUDEY WO DIN BHI AB TOH BEETE, AUR WO BHI MUJHSE HAI JUDA KSHOBH KE SAMUNDARO MEIN, KAHA THA USKO ALVIDA AB NA MILEGA LAGTA HAI, WAAPSI BHI LAAPATA MAIN JAA RAHA BHAVISHYA MEIN, LEKE SAARE DIL KI PYAAS I HOPE HUM KAL MILENGE USS DIN KA INTEZAAR RAHEGA HAAN WO PEHLA DOST THA, JISSE NAHI AB JAANTA WO PEHLE DOST THA, JO AADMI HAI SHAANDAAR WO PEHLA DOST THA, JISSE PALAK YEH THAMTE WO PEHLA DOST THA, YEH GAANA USKE NAAM HAI WO PEHLA DOST THA, JISSE NAHI AB JAANTA WO PEHLE DOST THA, JO AADMI HAI SHAANDAAR WO PEHLA DOST THA, JISSE PALAK YEH THAMTE WO PEHLA DOST THA, JISKO PAANA CHAHTA SAAMNE WO PEHLA DOST THA WO PEHLA DOST HAI WO PEHLA DOST HAI WO PEHLA DOST HAI
8.
Oh Oh Oh Oh Oh Oh Oh Oh Oh Maine mehnat kiya Oh Oh Oh Oh Oh Oh Maine mehnat kiya Oh Oh Oh Oh Oh Oh Bore kar dunga Oh Oh Oh Oh Oh Oh Damn it Maine mehnat kiya, bore kar doon bol ke Khud ke gaano mein, sponser kar doon colgate Main hun legendary, set kar doon main toh troll kit Inko jo pasand na aata kehte mujhko, boht theet Beaton pe vaise toh rapping karta aaraam se Mujhko tum keh sakte ho, rappero ka ramdev (yoga se hi hoga) Lekin yahan kuch bhi farak na padta kaam se Jisko bolun, main hu rapper, kehte awaam dekh (dekh) Paiso ka mol yahan pe, mera toh hai goal alag (goal alag) Inko samajh na aata, kyunki mera bol alag (bol alag) Kuch jo mere haters, dete mujhko tol alag Upar se kuch dost bhi, likhte mujhko lol alag (kahe b) Lekin main bhi bolun kya, kyunki aadmi faaltu Mere numbers pucche, main bhi aise hi taal doon (bilkul taal deta hoon) Vaise toh likh liya cyclone, malal kyun Ab jab ban gaya hi hai, toh kya main isko daal doon(daal doon kya) Oh Oh Oh Oh Oh Oh Maine mehnat kiya (boht jyada, boht jyada) Oh Oh Oh Oh Oh Oh Maine mehnat kiya (yaa, yaa, yaa, yaa) Oh Oh Oh Oh Oh Oh Bore kar dunga (bilkul) Oh Oh Oh Oh Oh Oh Damn it

about

THIS ALBUM IS ALL ABOUT NORMAL LIFE AND BEAUTIFUL MEMORIES.

credits

released August 16, 2021

Artist/Lyrics/Music/Mix/Master - Rudraksh ASV

license

all rights reserved

tags

about

Rudraksh ASV India

If you are trying to make the way then all the best.....

contact / help

Contact Rudraksh ASV

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Rudraksh ASV, you may also like: